Aaj ham janne vale he ki NSDL My PAN Canter se New PAN card kaise apply kre. NSDL My PAN Canter se new pan card apply karne ke liye aapaka id login karna he ees ke liye ees link par click kre nsdl.mypancenter.com agar aapake paas id ka user password nhi he to aap ees link par click kar id register kar sakte he nsdl.mypancenter.com/register

Step #1

NSDL My PAN Canter se new pan apply karne ke liye aapko NSDL PAAM Services > New PAN Card par click karna he ab aapake samne ye page open ho jayega. ab aapako ees page me applicant ka detail fill karna he jaise

  • Category of Applicant : aapako applicant ka category select karna he agar aap ek normal person ka pan apply karna chahate he to aapko Individual select karna he
  • Applicant Name : ees me aapako applicant ka name fill karna Last Name/ Surname , First Name , Middle Name agar aap pehle baar pan card apply kar rhe ho or aapako nhi pata ki pan form me kisi ka bhi name yr father name kaise ya kis format me fill kiya jata he to aap ees link par click kar pata kar sakte he https://mypancenter.com/how-to-fill-correct-format-applicant-name-father-and-title-in-pan-form/
  • Date of Birth / Incorporation : ees me aapko applicant ka Date of Birth fill karna he jo aadhar card me ho
  • Gender : aapako applicant ka Gender select karna he
  • Father Name : ees option me aapko applicant ke father ka name fill karna he https://mypancenter.com/how-to-fill-correct-format-applicant-name-father-and-title-in-pan-form/
  • Aadhaar Number : applicant ka aadhar number fill kre
  • Name As Per Aadhaar : ees me aapako applicant ka name fill karna he jo name adhar card par he
  • other Details : Mobile Number , Email Address , Source of Income , Address fill kre
  • Pan Card Type : pan type me aapako 2 option milega Normal , Minor agar applicant ka age 18+ he to aapako Normal select karna he or agar applicant ka age 18- he yani applicant ka age 18 se kam he to aapako minor select karna he

Note : agar aapake applicant ka age 18 se kam he or aapane minor select kiya he to aapko PDF form me column number 14 fill karna he jisame applicant ke Guardian(father , mother) ka name or address fill karna he or form par bhi Guardian ka hi signature hoga but photo applicant ka hi lagega

Step #2

ab aapko State/Union Territory > City select karna he or aapak AO code select karna he usake baad aapako Proof of Identity , Proof of Address , Proof of DOB select karna he or Form PDF Size me form ka PDF upload karna jisame pdf ka size 2MB se kam ho

Step #3

aapako last me Form ka pdf upload karna he jisame 2 page ka form ka aadhar hoga , form ka pdf banane ka aapake paas 2 option he

ab ees step ke sath hi aapaka new pan apply ka process complete hota he

Step #4

ab aapako NSDL PAAM Services > List Of Pan Card par click karna he or date select kar Search karna he , ab aapane jo bhi date select ki he us date ko aapane jitne bhi pan form apply kiye, chahe ho new pan ho ya correction pan aapake samane list show ho jayegi jisame aapako ACK DETAILS , RESPONSE , STATUS check karna he agar aapaka form approved huaa hoga to aapako ACK DETAILS me receipt number or RESPONSE me DONE or STATUS me SUCCESS likha mil jayega but aapaka form reject ho gya hoga to aapako payment refund ho gya hoga jo aap aapane wallet me Wallet Management > List of Wallet ke option me check kar sakte ho or aapko RESPONSE me aapaka form reject kyo huaa usaka Reason mil jayega or STATUS me REJECTED likha mil jayega

agar apaka form reject hota he aapako New PAN Card par click kar dubara form apply karna he

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *